nazar nazar se milaakar sharaab piite hain
ham unako paas biThaakar sharaab piite hain
isii liye to andheraa hai maikade mein bahut
yahaan gharon ko jalaakar sharaab piite hain
hamen tumhaare sivaa kuchh nazar nahiin aataa
tumhen nazar mein sajaakar sharaab piite hain
unhiin ke hisse mein aatii hai pyaas hii aksar
jo duusaron ko pilaakar sharaab piite hain